Read and share the images of likhna shayari or likhna poetry. Share your favorite likhna poetry in urdu on the web, Facebook, Twitter

Likhne par aye tou kiya kiya likhe 

kalam uthaya kaghaz uthaya jo chaha likh dala jab aap likhne par aaogaye tou kiya kuch nahi likh dalogaye,
likhna jese hi sheru karogaye khud hi khud aapk zehan main sawal o jawabat aate hi jaingaye jis se aapko likhne
ka hunar bhi lagh bhag ache se aana sheru hojaiyega. is tarah aap dhree dhree ek ache content ko sahi tarah se
likhne main successfull hojaingaye. likhna koi badi baat nahi par acha likhna logun ko mutawaja karna bhi
ek hunar hai or ye hunar un hi logon ko aata hai jo ache namune se fellings ko reality ko zaher karne ki koshish karte hein
jis main kafi history kafi intersting kahaniyaan stories aajatai hain. logun ko mutawajha karne ka matlab hai kuch aisa
blogg create karein jisko log parh kar aapk blogg ki taraf rukh karein or parh kar lutof andaz hoon,
jesa ki main apne kafi sare blogges main reall stories shear ki hain jo ki meri khud ki mehnat hain, aap likhein thora likhein
zaruri nahi aap puri book likhne k chakar main ya use adhe main chor kar rakhne ki koshish main likhna sheru karne se pehle hi
irada badal dein k bhai mujhe nahi likhna kon likhe kiya likhein mehnat bhi karon time bhi zaya karon par kiya hoga koi parhega hi
nahitou ye baat ghalat hai aap likhein aapk zehan main jo aaye kuch batain jesa ki aapne novels parhe hongaye un main bhi tou ek
tarah k waqia batae jate hein aaj main uthi or nashta kiya par nashte main maza nahi aaya tou socha kuch or hi khaa lon phir ek cup
chai ka aise hi pi liye kuch deer bahir bell ki awaz aayi jaane k baad pata chala ki dal papri wala aaya hai tou apne 2 papri li sath hi
khatti chatni bhi or maze se khaa kar khub lutuf uthaya phir din ka aaghaz kuch you kiya, tou just simple
aap likh sakte hein, aapni kisi best friend k bare main aap chahein tou unka naam bina show kiye bhi likh sakte hein.


pen or kaghaz 

aaj kal ka tou jadeed door hai jis main logun ko kahan pen or kaghaz uthane ka waqt mila karta hai,
par jin ko likhne se lagaow hai wo bade shoq se likha karte hein, jesa ki meri adat hai kabhi kalam tou
kabhi technology ka use karte aaj main ne kuch aise content bhi likh dale jo ki ache view mile hain,


Thora hi likho par acha likho

jis ko likhana chaho likh dalo koi ache pal kuch acha waqt jis ko parhne se logun ki boriyat khatam hoo
or unko dipretion se kuch pal ki azadi mile or unki soch main kuch changing aane ki kiran jagne par majboor hojai i really hope k koi na
koi tou change ho hi jayega, Articles likhe hi is liye jate hein k hum har insan ko achi soch sochne par majbur karein kyun k achi soch hi
rakhin negative soch kabhi insan ko jine nahi deti hai. is liye acha socho acha karo acha hoga.



Comments

bakht hussain5